ye hadisa mujhe hairan kar gaya sar-e-sham jo zakhm subh mila tha wo bhar gaya sar-e-sham mile the hum kahin kar-e-jahan ke mele mein use bhi jaldi thi aur main bhi ghar gaya sar-e-sham ye aaj kis ko achanak mera khayal aaya charagh rah mein ye kaun dhar gaya sar-e-sham khayal-e-yar ki fursat bhi ab kise hai nasib ye phul subh khila aur bikhar gaya sar-e-sham tamam din ki thakan se main bujh raha tha magar kisi ki yaad ka chehra nikhar gaya sar-e-sham shab-e-firaq ka ahwal yaad aa hi gaya phir ek tir sa dil mein utar gaya sar-e-sham ye subh-o-sham mere is qadar hi mere hain ki ji utha hun sahar-dam to mar gaya sar-e-sham