ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe

ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe
har-qadam par justuju ne jis ki bahkaya mujhe

zindagi-bhar mere apnon ne diya mujh ko fareb
the jo begane unhon ne aa ke apnaya mujhe

wada-e-imroz-o-farda mein ulajh kar rah gaya
zindagi-bhar sabz-bagh ek aisa dikhlaya mujhe

ek muamma jaise ho sab ke liye mera wajud
har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe

jis ko dekho gardish-e-haalat ka hai wo shikar
har koi jaise nazar aata ho ghabraya mujhe

ahl-e-duniya ne diye hain is qadar mujh ko fareb
karta hai wahshat-zada ab apna hi saya mujhe

us ki zulf-e-kham-ba-kham se ab nikalna hai muhaal
ghamza-o-naz-o-ada se aisa uljhaya mujhe

ab jahan koi nahin mere liye rah-e-farar
mera jazb-e-shauq aakhir kis jagah laya mujhe

jaun to jaun kahan koi nahin hai khizr-e-rah
umr-bhar josh-e-junun ne mere tadpaya mujhe

ab udata hai meri sahra-nawardi ka mazaq
ishq karne ke liye tha jis ne uksaya mujhe

kar di sab apni mata-e-zindagi jis par nisar
ye jahan-e-rang-o-bu hargiz na ras aaya mujhe

main samajhta tha jise apna rafiq-e-zindagi
takhta-e-mashq-e-sitam us ne hi banwaya mujhe

tha mera jo hashiya-bardar 'barqi'-azami
us ne hi tauq-e-ghulami aa ke pahnaya mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close