ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein

ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein
ki jaise ruh nihan hai badan ke parde mein

siwae ahl-e-sukhan ho mushahida kis ko
nihan hai shahid-e-mani sukhan ke parde mein

talash jis ki hai din-raat tujh ko ai ghafil
chhupa hua hai wo tere hi tan ke parde mein

jo andalib ki aankhon se dekhe wo samjhe
zuhur hai usi gul ka chaman ke parde mein

shab-e-siyah judai mein raushni ho kahin
lagaun aag main bait-ul-huzan ke parde mein

tariq-e-ishq chhudaya hai tu ne ghaarat-gar
mila hai khizr mujhe rahzan ke parde mein

latafat aisi hai tujh mein ki dekhta hun saf
guhar se dant hain durj-e-dahan ke parde mein

ba-rang-e-zar koi kapdon mein aag rahti hai
na mere dagh chhupenge kafan ke parde mein

naqab se tere abru jo salkh ko khul jaen
tu mah-e-nur hai charkh-e-kuhan ke parde mein

agar tum aae the shirin ke bhes mein sahab
to sath banda bhi tha kohkan ke parde mein

numud ho na tere khatt-e-ambar-e-afshan ki
rahe wo jild ezar-o-zaqan ke parde mein

chaman mein lai saba kis ki bu jo aaj shamim
damak rahi hai gul-e-yasman ke parde mein

nazar se tha sharar-e-sang ki tarah jo nihan
wo but mila mujhe ek but-shikan ke parde mein

tumhaare ru-e-mukhattat ka munh chidhate hain
ye mehr-o-mah pari-ru gahan ke parde mein

hazaron pad gae tir-e-nigah se surakh
hamare is but-e-nawak-fagan ke parde mein

khabar na sham-e-gharibi ki mujh ko thi 'nasikh'
chhupi hui thi ye subh-e-watan ke parde mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close