miyan-e-kar-e-duniya humse dil nashad kya karte

miyan-e-kar-e-duniya hum se dil nashad kya karte
hamein wo yaad kab aaya use hum yaad kya karte

agar pahchan apni ek dil-e-viran hai to phir
wo hum ko shad kya aur hum use aabaad kya karte

hamein jaldi bahut thi ishq mein barbaad hone ki
so pesh-o-pas mein pad ke waqt ko barbaad kya karte

bhala ye aah-o-zari shoabada-bazon ke bas ki hai
fughan eajaz hoti hai fughan ijad kya karte

agar hum sarf ho jate kahin fariyaad ki lai mein
to bas lai-kar ho sakte the hum fariyaad kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close