ye jo suraj hai ye suraj bhi kahan tha pahle

ye jo suraj hai ye suraj bhi kahan tha pahle
barf se uthta hua ek dhuan tha pahle

mujh se aabaad hui hai teri duniya warna
is kharabe mein koi aur kahan tha pahle

ek hi daere mein qaid hain hum log yahan
ab jahan tum ho koi aur wahan tha pahle

us ko hum jaise kai mil gae majnun warna
ishq logon ke liye kar-e-ziyan tha pahle

ye jo ab ret nazar aata hai afzal 'gauhar'
isi dariya mein kabhi aab-e-rawan tha pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close