ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin

ye jo thahra hua manzar hai badalta hi nahin
waqia parda-e-saat se nikalta hi nahin

aag se tez koi chiz kahan se laun
mom se narm hai wo aur pighalta hi nahin

ye meri khams-hawasi ki tamasha-gahen
tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin

paikar-e-khak hain aur khak mein hai saql bahut
jism ka wazn talab hum se sambhalta hi nahin

ghaaliban waqt mujhe chhod gaya hai pichhe
ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin

hum pe ghazlen bhi namazon ki tarah farz huin
qarz na-khwasta aisa hai ki talta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close