ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti

ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti
sabhi kuchh jaanti hun is liye bhi ro nahin sakti

abhi tak aankh ke har zawiye mein hijr ke gham hain
tumhaare khwab aate hain magar mein so nahin sakti

purane ped ki tahni hun par sarsabz hun ab tak
parinde aate-jate hain main budhi ho nahin sakti

mujhe wo sher kahne hain ki jin mein dil dhadakte hon
main naqli phul aangan mein kabhi bhi bo nahin sakti

bahadur main banun jitni magar ye bhi hai sach 'iqra'
ki ab main mar to sakti hun pa tujh ko kho nahin sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close