ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein KHudai ka

ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein khudai ka
milen mahshar mein mujh aasi ko sadqa kibriyai ka

ye mujh se sakht-jaan par shauq khanjar-azmai ka
khuda-hafiz mere qatil teri nazuk kalai ka

na ho pahlu mein mere dil to koi baat kyun puchhe
yahi to ek zariya hai hasinon tak rasai ka

tum achchhe ghair achchha ghair ki taqdir bhi achchhi
ye aakhir zikr kyun hai meri qismat ki burai ka

wo kya soenge ghafil ho ke shab bhar mare pahlu mein
unhen ye fikr hai nikle koi pahlu ladai ka

hazaron dida-o-dil-e-baam lakhon tur se badh kar
karodon jalwa-gahen shauq to ho khud-numai ka

qafas mein ab kahan wo imbisat-e-subh-e-azadi
chaman tak lutf tha sayyaad meri khush-nawai ka

ishaare par tere chal kar ye lae rang mushkil hai
abhi mohtaj hai khanjar tere dast-e-hinai ka

koi kya jae jannat mein ki us ne tul khincha hai
qayamat par bhi saya pad gaya roz-e-judai ka

wo din bhi aae hum hon aur galiyan hon madine ki
gadayana sada ho hath mein kasa gadai ka

banai kya buri gat mai-kade mein baada-noshon ne
'riyaz' aae the kal jama pahan kar parsai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close