ye kahani ye fasana bas isi shab bhar ka hai

ye kahani ye fasana bas isi shab bhar ka hai
zindagi shishe ki hai aur aadmi patthar ka hai

dosto is daur ki sab se badi khubi hai ye
aadmi patthar ka dil patthar ghar patthar ka hai

hai wo kitna khubsurat har ada bhi dil-nashin
us ki baaten mithi mithi par asar nashtar ka hai

ek muddat ho gai aai na manzil aaj tak
ye karishma bhi mere yaro mere rahbar ka hai

kab talak rakhoge ummid-e-karam us but se tum
hai to wo mitti ka lekin us ka dil patthar ka hai

na-ummidi be-yaqini bebasi be-chaargi
ek tera hi nahin ye qissa ab ghar ghar ka hai

ab guzara ghair-mumkin shahr mein hairat jahan
zehn-o-dil patthar ke tan patthar ka ghar patthar ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close