ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun

ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun
main kis ki aankh ka pani hun kis patthar mein rahta hun

wo khushbu is talluq se bahut bechain si hogi
main kanta tha magar ek phul ke bistar mein rahta hun

use ek din yahi khana-badoshi khud bataegi
main apne ghar mein rahta hun ki us ke ghar mein rahta hun

agar mohlat mile to qatilan-e-shahr se puchhun
main kis ki jaan hun kyun sina-e-khanjar mein rahta hun

mujhe ye be-panahi kab tera rasta dikhaegi
teri aawaz hun aur gumbad-e-be-dar mein rahta hun

ye sab khush-posh chehre ho chuke hain munkashif mujh par
main un ke darmiyan kyun jama-e-mahshar mein rahta hun

khudi kya chiz hai 'khurshid-akbar' aur khuda kya hai
kahun main kis zaban se dast-e-ahan-gar mein rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close