ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai

ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai
ye kaisi barf mujh mein gal rahi hai

koi tasbih mujh mein padh raha hai
koi qindil mujh mein jal rahi hai

musafir ja chuka lambe safar par
abhi tak dhup aankhen mal rahi hai

sabhi bahon ko phailae khade hain
qayamat hai ki har-pal tal rahi hai

izafi ho chuka hai matn sara
kahani hashiye se chal rahi hai

mujhe sab dafn kar ke ja chuke hain
magar ye sans ab tak chal rahi hai

bahut roegi ye ladki kisi din
jo mere sath hans kar chal rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close