ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai

ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai
khud baad-e-bahaari bhi sharar-bar chali hai

dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni
wo chashm-e-fusun-khez bhi dil haar chali hai

ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin sunta
duniya mein wo rasm-e-rasan-o-dar chali hai

takta hi nahin koi mai o jam ki jaanib
kya chaal ye tu ne nigah-e-yar chali hai

wo log kahan jaen jo kafir hain na din-dar
phir kashmakash-e-kafir-o-din-dar chali hai

baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alawa
ye baat to ai shaikh kai bar chali hai

diwangi-e-shauq mein jo kar gae hum log
meyar-e-khirad ban ke wo guftar chali hai

sazish na ho kuchh dair o haram walon ki is mein
sunta hun ki mai-khane mein talwar chali hai

kab yaad kiya hum ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne
jab zist su-e-wadi-e-pur-khar chali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close