ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai wo jis ne aana nahin intizar us ka hai ruki hun zakhm ke raqbe mein apni marzi se ye jaanti hun ki qurb-o-jawar us ka hai kisi khasare ke saude mein hath aaya tha so ek qimti shai mein shumar us ka hai faqat firaq to itna nasha nahin rakhta main ladkhadai hun jis se khumar us ka hai kharid sakti thi so main kharid lai hun wo mere pas hai chahe hazar us ka hai darida-jaan hun darida-libasiyan bhi hain magar ye kam to nahin tar tar us ka hai main saint saint ke kitna samet kar rakhkhun ki kaenat bhara intishaar us ka hai na jaane bolti rahti hun nind mein kya kya jo nam sunti hun main bar bar us ka hai main ghar se jaun to tala laga ke jati hun kuchh us ki shohraten kuchh e'tibar us ka hai