ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua

ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua
mujhe tu jura-e-talkh aur sazgar hua

sarishk-e-shauq ka wo ek qatra-e-nachiz
uchhaalna tha ki ek bahar-e-be-kanar hua

ada-e-ishq ki taswir khinch gai puri
wufur-e-josh se yun husn be-qarar hua

bahut latif ishaare the chashm-e-saqi ke
na main hua kabhi be-khud na hushyar hua

liye phiri nigah-e-shauq sare aalam mein
bahut hi jalwa-e-husn aaj be-qarar hua

jahan bhi meri nigahon se ho chala madum
are bada ghazab ai chashm sehr-kar hua

meri nigahon ne jhuk jhuk ke kar diye sajde
jahan jahan se taqaza-e-husn-e-yar hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close