ye kya ki khalq ko pura dikhai deta hun magar main khud ko adhura sujhai deta hun ajal ko ja ke gareban se pakad lae main zindagi ko wahan tak rasai deta hun main apne jism ke sab munqasim hawalon ko ba-nam-e-rizq sukhan ki kamai deta hun wo zindagi mein mujhe phir kabhi nahin milta main apne khwabon se jis ko rihai deta hun mujhe sila na sataish na adl hai matlub main apne samne apni safai deta hun ye shor mera takhatub nahin sunega 'ali' main khamushi ko mukammal sunai deta hun