ye kya tahrir pagal likh raha hai har ek pyase ko baadal likh raha hai na ro gustakh bete ke amal par tera guzra hua kal likh raha hai padho har mauj aayat ki tarah hai wo dariya par musalsal likh raha hai thame pani ko tabdili mubarak hawa ka hath halchal likh raha hai tujhe chhuna nirala tajraba tha wo jhuta hai jo makhmal likh raha hai bana kar shahr ka naqsha wo bachcha bade harfon mein jangal likh raha hai khuda-e-amn jo kahta hai khud ko zamin par khud hi maqtal likh raha hai