ye kya tilism hai main usko dekh bhi na sakun

ye kya tilism hai main us ko dekh bhi na sakun
ki jis ke jalwon se daman-e-chashm bhar jae

tu mere dil mein misal-e-chaman mahakta hai
main sans lun teri khushbu bikhar bikhar jae

guzarti shab ki har ek chap se main darta hun
na jaane kaun sa lamha udas kar jae

main aaina hi nahin aks bhi hun lekin tu
wo raushni hai jo daman-kashan guzar jae

hai ek khwab meri khud-fareb aankhon mein
agar ye khwab meri ruh mein utar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close