ye kya zarur hamin ko wo aazmaega

ye kya zarur hamin ko wo aazmaega
har aane wala muqaddar bhi sath laega

kise khabar hai ki is tira-khak-dan ke liye
hai ek dil hi to raushan so dub jaega

khule darichon se yun jhankti hai mayusi
ki jaise ab koi jhonka idhar na aaega

udas raat ki sargoshiyon ke baad agar
sahar jo aai to kis ko yaqin aaega

main jis ke mazi ka ek lamha-e-gurezan hun
ye dekhna hai wo kaise mujhe bhulaega

hazar khwab hain in khud-fareb aankhon mein
bichhad ke bhi wo yahan se kahin na jaega

ye din bhi aa gae ab apne dil pe biti hui
main khud kahunga mujhi ko yaqin na aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close