ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai

ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai
ishaare hote hain wo raunaq-e-mai-khana aata hai

tumhaari bazm bhi kya bazm hai aadab hain kaise
wahi maqbul hota hai jo gustakhana aata hai

kahani apni apni ahl-e-mahfil jab sunate hain
mujhe bhi yaad ek bhula hua afsana aata hai

dua teri tere mantar bhala maqbul kya honge
badi dil mein liye su-e-ibaadat-khana aata hai

hawa-e-taza abr-e-tar fuzun josh-e-numu lekin
nasib-e-dushmanan hai khet mein jo dana aata hai

har ek thokar pe hai ai 'amn' laghzish ka guman mujh ko
har ek patthar nazar sang-e-dar-e-mai-khana aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close