ye mai-kashi ka sabaq hai nae nisab ke sath

ye mai-kashi ka sabaq hai nae nisab ke sath
ki khun-e-dil hamein pina hai ab sharab ke sath

bas is yaqin pe hoti hain laghzishen aksar
ki rahmaton ka bhi data hai tu azab ke sath

ye qurbaton ka ishaara hai ya judai ka
jo zard phul mila hai tere jawab ke sath

zara wo sath bhi chalte hain laut jate hain
hijab tut rahe hain magar hijab ke sath

kahin hai tangi subu ki kahin farawani
to phir giraft bhi maula usi hisab ke sath

agar raqib nahin hai to kaun hai wo shakhs
dikhai deta hai jo aaj-kal janab ke sath

khayal-e-sud-o-ziyan aur husul-e-manzil-e-ishq
zawal-e-umr mein jaise koi shabab ke sath

faqat yun shor machane ka faeda kya hai
saza bhi dena zaruri hai ehtisab ke sath

hamare ho to zara khul ke e'timad karo
naya sawal uthate ho kyun jawab ke sath

ye apne aap ko pana hai tujh ko khona kyun
tamam umr kati hai is iztirab ke sath

ye sab ghurub ke aasar hain ayan 'adil'
ki sae badhne lage dhalte aaftab ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close