ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega

ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega
ghurur lahje mein aa gaya to kalam mumkin nahin rahega

ye barf-mausam jo shahr-e-jaan mein kuchh aur lamhe thahar gaya to
lahu ka dil ki kisi gali mein qayam mumkin nahin rahega

tum apni sanson se meri sansen alag to karne lage ho lekin
jo kaam aasan samajh rahe ho wo kaam mumkin nahin rahega

wafa ka kaghaz to bhig jaega bad-gumani ki barishon mein
khaton ki baaten to khwab hongi payam mumkin nahin rahega

ye hum mohabbat mein la-talluq se ho rahe hain tu dekh lena
duaen to khair kaun dega salam mumkin nahin rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close