ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka

ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka
to nakh-ba-nakh kahin paiwast resha-e-dil tha

mujhe maal-e-safar ka malal kyun-kar ho
ki jab safar hi mera faslon ka dhoka tha

main jab firaq ki raaton mein us ke sath rahi
wo phir visal ke lamhon mein kyun akela tha

wo waste ki tera darmiyan bhi kyun aae
khuda ke sath mera jism kyun na ho tanha

sarab hun main teri pyas kya bujhaungi
is ishtiyaq se tishna zaban qarib na la

sarab hun ki badan ki yahi shahadat hai
har ek uzw mein bahta hai ret ka dariya

jo mere lab pe hai shayad wahi sadaqat hai
jo mere dil mein hai us harf-e-raegan pe na ja

jise main tod chuki hun wo raushni ka tilism
shua-e-nur-e-azal ke siwa kuchh aur na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close