ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote

ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
ek pal bhi agar bhul se hum so gae hote

ai shahr tera nam-o-nishan bhi nahin hota
jo hadse hone the agar ho gae hote

har bar palatte hue ghar ko yahi socha
ai kash kisi lambe safar ko gae hote

hum khush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin ped bhi kuchh bo gae hote

kis munh se kahen tujh se samundar ke hain haqdar
sairab sarabon se bhi hum ho gae hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close