ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi

ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi
samundaron ke khad-o-khal ko badalti rahi

kisi ke qadmon se raste lipat ke roya kiye
kisi ki maut pe khud maut hath malti rahi

use kinare ka kankar samajh ke panw na rakh
ye aarzu mere dil ke sadaf mein palti rahi

ghurur-e-tishna-dahani teri baqa ki qasam
nadi hamare labon ki taraf uchhalti rahi

jami thi barf rawayyon ki surkh aankhon par
darun-e-jism koi aag thi machalti rahi

tamash-gah-e-zamana mein zindagi apni
sambhal ke girti rahi gir ke phir sambhalti rahi

ye kaun aaina-paikar yahan se guzra hai
ki jis ki gard-e-safar par nazar phisalti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close