ye sadma us ko pagal kar gaya tha wo apne aaine se dar gaya tha koi bhi sar nahin tha us ke qabil abas us shahr mein patthar gaya tha jahaalat ke hawale padhte padhte kitabon se mera ji bhar gaya tha pilata kaun us pyase ko pani koi masjid koi mandar gaya tha wo kis mitti ka tha nafrat ke ghar mein wo odhe pyar ki chadar gaya tha mera ehsas to tere karam se mere marne se pahle mar gaya tha na nikla phir wo sari umr ghar se zara si der ko bahar gaya tha to phir luta hai kis ne qafile ko udhar to sirf ek rahbar gaya tha wahan phir pair kab rakkha kisi ne jahan raste mein mera sar gaya tha