ye sanam riwayat-o-naql ke hubal-o-manat se kam nahin

ye sanam riwayat-o-naql ke hubal-o-manat se kam nahin
tera fikr waiz-e-haq-nawa kisi somnat se kam nahin

kahin barq chamke main jal uthun koi tara tute main ro padun
ye dil-e-sitam-zada ham-nashin dil-e-kaenat se kam nahin

kahin rang-o-nur-e-jamal hai kahin bim-o-fikr-e-maal hai
kahin sham ghairat-e-subh hai kahin din bhi raat se kam nahin

jise kahiye raqs-e-sharar-e-gham wo agar ho shamil-e-gham to phir
gham-e-dil ho ya gham-e-zindagi gham-e-kaenat se kam nahin

ye surur 'akhtar'-e-dil-zada rajaz-e-bahaar-o-shabab hai
ye buland hoti hui fughan alam-e-hayat se kam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close