ye soch banna hai kya tujhko kya bana hua hai

ye soch banna hai kya tujh ko kya bana hua hai
khuda ka kya hai ki wo to khuda bana hua hai

daba saka na sada us ki teri bazm ka shor
khamosh rah ke bhi koi sada bana hua hai

main chahta hun masiha ke dil mein bhi rakh dun
wo dard mere liye jo dawa bana hua hai

ye kar-e-ishq hai rakh apne inhimak se kaam
na dekh bigda hua kya hai kya bana hua hai

basi hui hai mere ishq se teri khalwat
tera jamal mera aaina bana hua hai

tumhaari bazm mein hairat se hai koi taswir
koi adab se hai sakit diya bana hua hai

jo chahiye hai hamein wo hamein mayassar hai
qadam uthe hue hain rasta bana hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close