ye to baja ki hum rahen chashm-e-karam se dur dur

ye to baja ki hum rahen chashm-e-karam se dur dur
khud bhi na rah sake magar aap jo hum se dur dur

dair-o-haram ki nafraten laut chukin nashat-e-zist
rahrawan-e-rah-e-nau dair-o-haram se dur dur

ahl-e-jahan se kya hamein sirf malal is ka hai
aap bhi hum se bad-guman aap bhi hum se dur dur

mera mazaq-e-bandagi tod chuka hai riwayaten
aaj jabin hai aap ke naqsh-e-qadam se dur dur

ek udas tirgi qismat-e-baam dur hui
jab se tumhaari yaad hai sham-e-alam se dur dur

mai-kada-e-jahan mein hai ek hujum-e-mai-kashan
jam-e-sifal ke qarib saghar-e-jam se dur dur

dil mein khayal-e-manzil-e-dar-o-rasan liye hue
aaj koi guzar gaya ku-e-sanam se dur dur

'manzar'-e-sada-dil jinhen dost samajh rahe the tum
aaj wahi wafa-sarisht ho gae hum se dur dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close