ye wo aazmaish-e-saKHt hai ki baDe baDe bhi nikal gae

ye wo aazmaish-e-sakht hai ki bade bade bhi nikal gae
ye unhin patangon ka zarf hai ki parai aag mein jal gae

teri aastin ki kahkashan jo nazar padi to machal gae
jo teri khushi ka nichod the wahi ashk taron mein dhal gae

mile sard-ahon mein ashk-e-gham to sharar-o-barq mein dhal gae
ye na jaane kaise charagh the ki hawa ke rukh pe bhi jal gae

kisi kisi phul par kisi shakh par kahin ab thaharti nahin nazar
mere aashiyane ke sath mein mere hausle bhi to jal gae

mere walwalon ke mizaj bhi ba-lihaz-e-mausam-e-waqt hain
kabhi sard aah mein jal gae kabhi ashk ban ke pighal gae

ye to kaam himmat-e-dil ka hai teri rah mein pas-o-pesh kya
jo thahar gae wo thahar gae jo nikal gae wo nikal gae

bas ek aanch si nazar aai thi hai ye raaz ab bhi dhaka dhaka
wo tera hasin itab tha ki hum apne taw mein jal gae

jo tarashe fikr ne aaine tera aks husn-e-nazar bana
jinhen tujh se kuchh bhi lagao tha wo khayal sher mein dhal gae

utha shor mahfil-e-naz se huin aabdida masarraten
liya kis ne nam 'siraj' ka ki charagh ashk ke jal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close