ye zindagi to musalsal sawal karti hai

ye zindagi to musalsal sawal karti hai
magar jawab wahi khamushi thaharti hai

tere khayal ke sahil se dekhti hun main
teri hi shakl har ek mauj se ubharti hai

kisi raqib se milti hai jab khabar teri
tujhe pata hai mere dil pe kya guzarti hai

gali gali mein milenge ghazal ke diwane
magar ye shokh bahut kam kisi pe marti hai

main sahar mein teri baaton ke khoi rahti hun
kisi ki baat mere dil mein kab utarti hai

zara si der ko rukta to hai safar lekin
kisi ke jaane se kab zindagi thaharti hai

ganwa ke khud ko bhi paya na main ne kuchh 'rakhshan'
kabhi kabhi yahi la-hasili akharti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close