ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai

ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai
khamosh kab se hai ye kohsar kaisa hai

koi hai aur bhi aaega jo usi jaisa
wo aa chuka hai magar intizar kaisa hai

jo chahte hain kisi ko yahan na aane den
batao shahr-e-talab mein hisar kaisa hai

ye kaisi shakh ke paiwand hain darakhton par
ye kaise phal hain ye rang-e-bahaar kaisa hai

hamesha soch se kam hi raha hai har hasil
khayal-o-khwab ka ye intishaar kaisa hai

kisi bhi ghar mein wo pahli mohabbat hai hi nahin
koi bhi kahta nahin ye dayar kaisa hai

har ek lafz ke mani badal gae 'majid'
jahan-e-sher mein ye khalfashaar kaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close