ye zulm hai ki mere shahar ka jo qatil hai

ye zulm hai ki mere shahar ka jo qatil hai
hazar jaan se wo dosti ke qabil hai

mujhe hi war pe lata hai har zamane mein
mujhe bata ye zamana kahan ka aadil hai

lahu aur aag ka dariya hai mere raste mein
ki meri zat hi raste mein mere hail hai

sadaqaton se nikharta hai aadmi ka shuur
sadaqaton ko samajhna bahut hi mushkil hai

main apni zat mein hun bahr mujh ko kya parwa
amir-e-shahr jo dariya-dili pe mail hai

meri zaban se haq baat hi nikalti hai
ye aur baat ki chhati pe jabr ki sil hai

hai sarkhushi ki tamanna bahut mere dil mein
wo is liye ki ye dil ek dukh-bhara dil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close