yun boli thi chidiya khali kamre mein jaise koi nahin tha khali kamre mein har pal mera rasta dekha karta hai jaane kis ka saya khali kamre mein khidki ke raste se laya karta hun main bahar ki duniya khali kamre mein har mausam mein aate jate rahte hain log hawa aur dariya khali kamre mein chehron ke jangal se le kar aaya hun surkh gulab ka pauda khali kamre mein basti mein har raat nikalne wala chand umr hui na utra khali kamre mein tez hawa mein sare kuze tut gae aur phaila ek sahra khali kamre mein 'sahil' shahr se dur akela rahta hai jaise main hun rahta khali kamre mein