yun dekhne mein to upar se sakht hun shayad magar darun-e-badan lakht lakht hun shayad mere nasib mein likkhi hai shab ki tariki main dubte hue suraj ka bakht hun shayad qarib o dur nahin hai koi bhi apna sa ujad bagh ka tanha darakht hun shayad mujhe kisi ne suna hi nahin tawajjoh se main bad-zaban sada-e-karakht hun shayad nahif kandhon pe bar-e-gham-e-do-alam hai sarapa rahu o ketu ka takht hun shayad meri talash mein hai koi aisa lagta hai kisi ka gum-shuda 'shadab' rakht hun shayad