yun KHabar kise thi meri teri muKHbiri se pahle

yun khabar kise thi meri teri mukhbiri se pahle
main masarraton mein gum tha teri dosti se pahle

tere husn ne jagaya mere ishq-e-be-baha ko
teri justuju kahan thi mujhe shairi se pahle

tu sharik-e-zindagi hai main hun gham-gusar tera
tera gham raha hai shamil meri har khushi se pahle

de agar mujhe ijazat jo mera zamir mujh ko
main tujhe khuda bana lun teri bandagi se pahle

tere husn ki kahani mere ishq ka fasana
bahut aam ho chuka hai gham-e-ashiqi se pahle

tujhe rahnuma bana kar mujhe mil gai hai manzil
main bahut bhatak raha tha teri rahbari se pahle

kaho mir-e-karwan se mujhe is tarah na dekhe
main bada farakh-dil tha kabhi dil-lagi se pahle

ye mata-e-ranj-o-gham aur shab-e-hijr ka ye 'alam'
tha kahan mera muqaddar teri be-rukhi se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close