yun khalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar mere bare mein meri jaan is qadar socha na kar bandagi ko log de lete hain kamzori ka nam ijz achchha hai magar tu khud ko naqsh-e-pa na kar ho sake to dil mein paida kar mohabbat ka khayal ye muqaddas lafz sath-e-ab par likha na kar reza reza ho rahe hain aaine ikhlas ke apni aankhon se ye manzar dekh par shikwa na kar de sake tujh ko kabhi teri wafaon ka jawab us hawale se kabhi rukh jaanib-e-duniya na kar jin ki tabiren nahin mumkin kabhi sultan-'rashk' ho sake to is tarah ke khwab bhi dekha na kar