yun laga dekh ke jaise koi apna aaya thi nigahon mein jo surat koi waisa aaya din guzare to bahut kat diye mah-o-sal apne ghar mein na koi aap ke jaisa aaya aisa mahaul ki pal bhar na jahan ruk pae kya kabhi aap ko is tarah bhi jina aaya jo kiya hum ne wo sab tum ne bhulaya kaise itne ehsanon ka badla na chukana aaya zindagi kat di khud apni hi tarifon mein dusra kya hai samajhna bhi na itna aaya tursh-rui se mila aap ko kya kya ab tak aap ko ye bhi to ab tak na samajhna aaya hai khuda ek to phir kis ki parastish karte dusra nam 'wasiya' ko na japna aaya