yun lahakta hai tere nau-KHez KHwabon ka badan

yun lahakta hai tere nau-khez khwabon ka badan
jaise shabnam se dhule taza gulabon ka badan

mutriba ne is tarah chhede kuchh armanon ke tar
kas gaya angdai lete hi rubabon ka badan

koi pahnata nahin be-dagh lafzon ka libas
kab se uryan hai mohabbat ki kitabon ka badan

raat hai ya sang-e-marmar ka muqaddas maqbara
jis ke andar dafn hai do mahtabon ka badan

aaine le kar kahan tak hum sarabon ke safir
dhup ke sahraon mein dhundenge khwabon ka badan

jab ghula baad-e-saba mein tere pairahan ka lams
aur bhi mahka tar-o-taza gulabon ka badan

'prem' aakhir subh-e-nau kholegi kab band-e-qaba
jhankta hai chilmanon se aaftabon ka badan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close