hum ko ye Dar hai ki imkan kisi aur ka hai

hum ko ye dar hai ki imkan kisi aur ka hai
yani wo shakhs nigahban kisi aur ka hai

ye jo har lahza dhadakte hain mere sine mein
dil kisi aur ka arman kisi aur ka hai

ghaebana yahi samjha wo faqat mera hai
jab mila to laga nadan kisi aur ka hai

dastaken sun ke hi andaza hua tha hum ko
wo hamara nahin mehman kisi aur ka hai

hakim-e-sham ki baiat se khula hai mujh par
takht par mani-e-quran kisi aur ka hai

hum musafir hain to jaana hai kahin aur hamein
ghar kisi aur ka saman kisi aur ka hai

hum yunhi qarz chukate rahe anjaane mein
kash hum jaante tawan kisi aur ka hai

bandh kar sar pe kafan kud pade hain jis mein
jang hai ghair ki maidan kisi aur ka hai

rukh wo rakhta hai ba-zahir meri jaanib lekin
wo to mera nahin sultan kisi aur ka hai

main hun na-khush ki khizan aan padi hai be-waqt
baghban khush hai ki nuqsan kisi aur ka hai

umr-bhar hum ne pilaya hai jinhen apna lahu
wo bahaaren wo gulistan kisi aur ka hai

ye makan kis ki wirasat hai hamein kya malum
sahn apna hai to dalan kisi aur ka hai

sehn-e-gulshan se nikal jaane ka mera shaha
main samajhta raha elan kisi aur ka hai

karwan lutne ka us ko to nahin dard 'nabil'
wo samajhta hai ki nuqsan kisi aur ka hai

yun bhi mahrum hain hum rang se khushbu se 'nabil'
phul apne hain to gul-dan kisi aur ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close