zabt-e-girya mein bhi girya to kiya hai maine

zabt-e-girya mein bhi girya to kiya hai main ne
chup raha hun pa tamasha to kiya hai main ne

ab udaunga use tere falak par ek din
apni mitti ko ikattha to kiya hai main ne

dekhiye kis ke khad-o-khal nazar aate hain
ek diwar ko shisha to kiya hai main ne

ab main kuchh aur banun aisi bayabani mein
tut jaane ka irada to kiya hai main ne

khul ke main wasl ki baaten nahin karta phir bhi
baaton baaton mein taqaza to kiya hai main ne

pyar ki had hi nahin koi ye mana lekin
jitna ho sakta hai utna to kiya hai main ne

shayad aa jae khabar apne alawa hun kahan
khud ko tanhai mein tanha to kiya hai main ne

mujh mein tashkik bhi sar apna utha sakti hai
ai khuda tujh pe bharosa to kiya hai main ne

jaane ab kaun gali mein kahin niklun ja kar
ek virane mein rasta to kiya hai main ne

wo kahin hai ki nahin hai mujhe malum nahin
apne hone ka ishaara to kiya hai main ne

ab faqat aakhiri ishq aakhiri maqsud-'wafa'
aakhiri ishq ki pahla to kiya hai main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close