zad-e-rah mukammal hai hausla mukammal hai khwab mar chuke hain sab saneha mukammal hai ishq jo kiya tum se ba-khuda mukammal hai tum kaho jo kahna hai takhliya mukammal hai ab kahin na bhatkunga ye khuda mukammal hai man ne hath uthae hain ye dua mukammal hai tum ne jo sunai hai baat kya mukammal hai ab kisi ko kya dekhun dil diya mukammal hai us ki aankh kahti hai shaera mukammal hai ek bosa kafi hai nashta mukammal hai