zahe qismat agar tumko hamara dil pasand aaya

zahe qismat agar tum ko hamara dil pasand aaya
magar ye dagh kyun kar ai mah-e-kaamil pasand aaya

kiya hai qatl lekin dekhiye jaan kab nikalti hai
ki un ko raqs-e-betabana-e-bismil pasand aaya

wo momin bhi hai mangega dua sidq-e-tanasukh ki
tere hathon se marna jis ko ai qatil pasand aaya

na puchho kab se main shamil hua hun tira-bakhton mein
kisi ke aariz-e-raushan ka jab se til pasand aaya

ye gustakhi hai ai 'mahrum' apni had se badhta hai
ki ta-hadd-e-zamin-e-ghaalib-e-mushkil-pasand aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close