zahir mein bhi kya kya parda-dari hai

zahir mein bhi kya kya parda-dari hai
duniya-dari purkari ayyari hai

panw tale khud-dari aur safar aage
ruk nahin sakte hum kaisi lachaari hai

ek musalsal daud mein shamil hum bhi hain
shauq nahin ye ek zehni bimari hai

baad-e-mukhalif pure zor se bahti jae
us jaanib se bhi puri tayyari hai

mazi mein tum jit gae mujh se 'betab'
mustaqbil ki jang abhi tak jari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close