zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi

zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi
lagti hai zindagi bhi musibat kabhi kabhi

pahlu mein jagti hai mohabbat kabhi kabhi
aati hai hath dard ki daulat kabhi kabhi

ab tak tere baghair main zinda hun kis tarah
hoti hai apne aap par hairat kabhi kabhi

ek pal ka jo visal tha un mah-o-sal mein
deta hai hijr mein bhi rifaqat kabhi kabhi

chhede wafa ka git koi naghma-saz jab
khud se bhi hone lagti hai wahshat kabhi kabhi

ek raat hijr ki hai musalsal hamare sath
tum par guzarti hogi qayamat kabhi kabhi

sulgi hai teri yaad mein ye ruh raat din
dene lagi hai lau ye rifaqat kabhi kabhi

duniya ke waste jo bahut be-shuur tha
us se mili hai ishq ko waqat kabhi kabhi

mujh ko teri jafa ka to shikwa nahin magar
aati hai yun hi lab pe shikayat kabhi kabhi

main dard se najat ki talib nahin magar
'shahin' kam ho thodi si shiddat kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close