zahr-e-chashm-e-saqi mein kuchh ajib masti hai

zahr-e-chashm-e-saqi mein kuchh ajib masti hai
gharq kufr o iman hain daur-e-mai-parasti hai

shama hai sar-e-mahfil kuchh kaha nahin jata
shola-e-zaban le kar baat ko tarasti hai

zulf-e-yar ki zad mein dair bhi hai kaba bhi
ye ghata jab uthti hai dur tak barasti hai

aaj apni mahfil mein hai bala ka sannata
dard hai na taskin hai hosh hai na masti hai

kaun ja ke samjhae khud-parast duniya ko
kya sanam-parasti hai kya khuda-parasti hai

sakht jaan-lewa hai sadgi mohabbat ki
zahr ki kasauti par zindagi ko kasti hai

hum to rah ke dilli mein dhundte hain dilli ko
puchhiye 'rawish' kis se kya yahi wo basti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close