zaKHm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae

zakhm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae
panja-e-saffak mein khanjar khajil hote gae

did ke qabil tha un sahra-nawardon ka junun
manzilen milti gain hum muzmahil hote gae

nur ka rishta sawad-e-jism se katta gaya
hum bhi aakhir baad o aatish aab-o-gil hote gae

khun mein unche chanaron ke na hiddat aa saki
yun ba-zahir sabz patte mushtail hote gae

dil ke daftar mein tha jazbon ka taqarrur aarzi
han jo un mein mo'tabar the mustaqil hote gae

jaise jaise aagahi badhti gai waise 'zahir'
zehn o dil ek dusre se munfasil hote gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close