zakhm is zakhm pe tahrir kiya jaega kya dobara mujhe dil-gir kiya jaega us ki aankhon mein khada dekh raha hun khud ko kaun se pal mujhe taskhir kiya jaega meri aankhon mein kai khwab adhure hain abhi kya mukammal inhen tabir kiya jaega mujh ko bekar mein hairat ne pakad rakkha hai shahr to dasht mein tamir kiya jaega tu ne dekha na kahin mujh ko nazar aaya hai aisa manzar jise taswir kiya jaega