zaKHm ke phul se taskin talab karti hai

zakhm ke phul se taskin talab karti hai
baz auqat meri ruh ghazab karti hai

jo teri zulf se utre hon mere aangan mein
chandni aise andheron ka adab karti hai

apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan
muflisi zehn ki fariyaad bhi kab karti hai

sehn-e-gulshan mein hawaon ki sada ghaur se sun
har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai

sirf din dhalne pe mauquf nahin hai 'mohsin'
zindagi zulf ke sae mein bhi shab karti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close