zaKHm par rakhta hai marham aasman nashtar samet

zakhm par rakhta hai marham aasman nashtar samet
amn ka paigham deti hai hawa khanjar samet

jab mere hamdard ne be-dast-o-pa dekha mujhe
le gaya mere samundar se sadaf gauhar samet

chaar-jaanib aag bhadkai gai is taur se
ahl-e-binash ki nazar bhi jal gai manzar samet

aasman ki chhat zamin ka farsh bakhshta jaega
ghar ujade jaenge buniyaad ke patthar samet

tez raftari ne duniya ki udaya ye ghubar
har saman dhundla gaya us aaina-paikar samet

jal rahe hain jo lahu se un diyon ke samne
haar baithe hain parastran-e-sarsar sarsar samet

dekhna ye aansuon ki chand bundon ka kamal
lahlha uthi hai pathrili zamin banjar samet

main ne tera nam le kar jab rakha takiye pe sar
sara kamra khushbuon se bhar gaya bistar samet

murgh-e-kam-himmat faza-e-be-karan hote hue
aashiyane tak raha mahdud baal-o-par samet

kal zamin mere muqabil wazn mein halki padi
mujh ko jab rakkha gaya palre mein chashm-e-tar samet

is tahi dasti mein 'mahir' aabru ka kya sawal
hum ganwa baithe hain dastar-e-fazilat sar samet


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close