zaKHmi na bhul jaen maze dil ki Tis ke

zakhmi na bhul jaen maze dil ki tis ke
lillah chhidke jao namak pis pis ke

ghussa hai zahr haq mein dil-e-be-anis ke
almas piste ho abas dant pis ke

maili nigah hoti hai aaina dekh kar
nazzare muddaton se hain ru-e-nafis ke

khalwat mein hi tasawwur-e-jaanan nadim hai
talib jalis ke hain na khwahan anis ke

mani na pae jauhar-e-shamshir-e-yar ke
tukde jigar ke ho gae tukde kasis ke

phika hi zaiqa dahan-e-zakhm ka raha
kya bad-maza hua main namak pis pis ke

pir-e-falak kisi ko na dega zar-e-nujum
yani diram hain ye kaf-e-dast-e-khasis ke

kat kat gaya main dekh ke mazmun-e-qatl ko
ai but qalam hon hath tere khush-nawes ke

das bis har mahine mein abru nazar pade
is sal sare chand hue tis tis ke

harf aa gaya shikastagi-e-dil ke likhne mein
tute qalam hazaron shikasta-nawes ke

likhte hain chhup ke katib-e-amal sab ka haal
aamal-nama parcha hain khufya-nawes ke

maktub mein ibarat-e-rangin likho 'munir'
fiqre nahin pasand daqiq-o-salis ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close